Friday, March 23, 2007

Normal Shayari

Agar ham marjayain to hume jala dena
lekin mere jism se mera dil nikal dena
mujhe meri dil ki parwah nahi
balki parwah hai ushme rahane walo ki...
Bahar aane se pahale fiza aagayee
phool khilne se pahale bakri kha gayee...
Jara nazaro se dekh liya hota,aagar tamanna thi daraneki...
hum yun hi behosh ho jaate, kya jarurat thi muskurane ki......
Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain …
Achanak mohabbat kar baithe hum,Kya pata tha andhero me kahi kho jayenge…
Bhula baithe the apno ko hi hum,kya pata tha aakhir laut kar un k pass hi aayenge…
Dillagi dosto ke naam hoti hai
Dilldari dosto ki shaan hoti hai
Kahi bhi raho par rahoge dil me mere
Yahi sachchi dosti ki pehchaan hoti hai
Vaise to kayi dost hai hamare,Jaise aasman me hai kai taare
Par aap dosti ke aasman ke wo chand hain,Jiske samne fike padte hai saare sitare..
(swapana this for u....)
na kasti na kinara hai koi
na manjil na sahara hai koi
na aasoo na khushi ka ishara hai koi
par aap hai to
lagta ahai duniya me hamara hai koi
Kash koi humain bhi yaad karleta,
hum se milne ki faryad karleta,
hum tu yunhi hamesha intezar kiya karte hai
kash koi humse bhi apne dil ki baat karleta…..
ek mulaqat karlo humse mohabbat samaj ker,
her hisaab denge qayamat samaj ker,
meri mohabbat per kabhi shaq na kerna,
hum mohabbat bhi karte he ibaadadat samaj ker….!
Jane Kyun Log Hame Bhul Jate Hai,Kuch Pal Sath Rahker Door Chale Jate Hai,Sach Hi Kahte Hai Sagar Milne Ke Bad Aksar Log Barish Ko Bhul Jate Hai….
Kahan koi aisa mila jis par duniya luta dete,Har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete,Apne dil ka zakhm dil me hi dabaye rakha,Karte bayan to mehfil ko rula dete

No comments: